GAGAN IT logo

विवाह बायोडाटा मेकर Free Marriage Biodata Maker · 60 templates · 12 languages · No login

Marriage biodata kaise banayein? · बायोडाटा कैसे बनाएं?

1) Details bharein — jo field khaali chhodenge wo biodata me dikhega hi nahi. 2) Template chunein (60 designs, Hindu / Muslim / Christian / Sikh / Jain / Buddhist). 3) Photo & Header me photo crop karein aur dev-chinh / mantra chunein. 4) Design me rang, font, border badlein. 5) Download — PDF, Image, Word, ya WhatsApp text.

Biodata me kya-kya likhein?

Naam, janm tithi-samay-sthan, rashi/nakshatra/gotra, height, shiksha, vyavsay aur aay, mata-pita ka naam aur vyavsay, bhai-behen, mool niwas, sampark number aur pata. Jodidar se apeksha alag section me likh sakte hain.

Aam galtiyan

Purani ya blur photo · galat/adhura mobile number · bahut lamba "about me" · aay ya jaankari jo sach na ho · alag-alag jagah alag spelling.

FAQ

Kya ye free hai? Login chahiye?

Haan, bilkul free. Koi login, signup ya watermark nahi.

Meri personal jaankari kahan save hoti hai?

Sirf aapke apne browser me (localStorage). Hamare server par kuch nahi bheja jata. Browser data clear karne par saved biodata hat jayega — isliye Backup (JSON) download kar lein.

PDF me Hindi/Marathi ke akshar toote-phoote dikh rahe hain?

Direct PDF button aapke device ke fonts use karta hai. Agar kuch gadbad dikhe to Print → Save as PDF use karein, usme web fonts ke saath select-able text wala PDF banta hai.

Ek hi page me kaise laayein?

Design me "Ek page me fit karein" on rakhein — font apne aap chhota ho jayega. Off karne par biodata 2-3 page me banta hai.

Word (DOC) me edit kar sakte hain?

Haan, Download me "Word (.doc)" chunein. Word / WPS / Google Docs me khulta hai.

Photo kaise lagayein?

"Photo & Header" me photo chunein, ungli/mouse se khiskayein, zoom karein, Save dabayein.

Kundli / horoscope image jod sakte hain?

Haan, "Photo & Header" me Kundli image upload karein; wo Horoscope section me dikhegi.

Hindi typing kaise karein?

Details tab me "English se type karke bhasha me badlein" on karein (internet chahiye). Ya apne keyboard ka Hindi/Gujarati keyboard use karein.